Lut gayi hai hasti apni ek numayish sey
Darbadar bhatke hue hain aazmayish mein
Bhoolte hain Uski wehshat ek surahi sey
Khelte hain hum khilone gumraahi mein
Aarahi hai nida-e-mehshar aasmanu sey
Phir b hum bepardah hain maii khaanu mein
Horahi hai sharm gayab aaj mehfil sey
Lajawab hai aaj mashooq laakh aashiqun mein
Horahe hain gumm jangal ab nighaahun sey
Hai tadapti aaj koyal qaedkhaanun mein
Horahi hai gumraahi hae ek kutub khwaan sey
Daag hai qatl-e-kalam ka aaj darya mein
Bewajah hai maat khaate aql-e-shaitaan sey
Kho gaya wajud-e-insan aaj dunya mein
Muskuraahat bhi hai bhaagey khauf-e-zaalim sey
Badgumaani leja rahi hai aaj dozakhh mein
Puujtey hain aaj buut ko jaah-o-jalal sey
Masjidein band padh gayi hain shaukh-e-sanam mein
Hai bhatakhta ek musafir misr-e-sehra sey
Bhul gaya jo apne Rabb ko lutf-e-faani mein.